Friday, 4 September 2009

Khamoshi ki Awaaz....

Tumhare saath reh ker maine jana
ki khamoshi kya hai.

Iski bhi apni ek bhasha hai
Sun sakti hai ye atma ki awaaz
Samajh sakti hai yeh ankhon ki boli

Kehti hai un-ginat afsaane
Kholti hai na jaane kitne raaz

Kyonki....

Humne khud sune hain
sannaton me meethe geet
Do atmaon ke milan ke
Banaye hain un-ginat raag

Samaa ker ek doosre mein
tab... jab.....
Baj uthti hain shahnaian anek
Baj uthte hain saikro sitar

Aise meethe sannate ko
kaun nahi sun-na chahega
baar baar...

Ab.... har wakht..
Sun-na chahti hoon us khamoshi ko
baate kerna chahti hoon us sannate se
Kyonki.....
Sunai parti hai usme tumhari awaaz
Goonjta hai jisme hamara pyar

Tumhare saath reh ker maine jana
ki khamoshi kya hai...


6 comments:

Tapan Mozumdar said...

SANNATA

Kal,
Poore baees mahine baad,
cheekhne, chillane, rone, galiyane ke
Poore baees maine baad
Maine tumhe suna.

Tab,
jab dono chup the
aur tum anischit unglion se
mez par pare
pani mein tairti
us nzook mombatti ko
bujhane ki koshish kar rahi thi -

Tab,
tumhare sooje hue chehre ne
aur barsaati aankhon ne
mujhe in poore baees mahine ke
betuke, ashleel, faltu
sawalon ke saare jawab

chupchap dete rahe.

aur main, bujhti mombatti ko
bachane ki khwamkha koshish
kar raha tha

... aadatan !

Alka Pande said...

Tapan...
you are a born poet...

Unknown said...

likhne padhne aur samajhne ka isse badhiyaa koi aur raasta nahin.... so keep it up... regards

Alka Pande said...

well said sanjeev...

Puja Awasthi said...

Hidden talents Alkaji.
Keep it up!

Alka Pande said...

its cannot exactly be termed ``talent'' - it's only an effort
or you can say a few words put together, which have come straight from heart..
thanks anyways