Friday 4 September 2009

Khamoshi ki Awaaz....

Tumhare saath reh ker maine jana
ki khamoshi kya hai.

Iski bhi apni ek bhasha hai
Sun sakti hai ye atma ki awaaz
Samajh sakti hai yeh ankhon ki boli

Kehti hai un-ginat afsaane
Kholti hai na jaane kitne raaz

Kyonki....

Humne khud sune hain
sannaton me meethe geet
Do atmaon ke milan ke
Banaye hain un-ginat raag

Samaa ker ek doosre mein
tab... jab.....
Baj uthti hain shahnaian anek
Baj uthte hain saikro sitar

Aise meethe sannate ko
kaun nahi sun-na chahega
baar baar...

Ab.... har wakht..
Sun-na chahti hoon us khamoshi ko
baate kerna chahti hoon us sannate se
Kyonki.....
Sunai parti hai usme tumhari awaaz
Goonjta hai jisme hamara pyar

Tumhare saath reh ker maine jana
ki khamoshi kya hai...